Phir bhi laga hun sanwarne mein dono ko
Kushiyon se bharta hun, kaale saayon se bachata hun
Par jo paraya hai, wo kabhi apna kaise ho,
Na ye ghar mera hai, na ye jism
Apna kya hai, mujhe khabar nahi
Zindagi aur maut ke beech ka waqt zaaya karta ja raha hun
Kya dhoondta hun, kya chahta hun,
Insaano ne jo na sikhaya un sawalon se ghira hun
Sab kuch safar se pehle ke intezaar sa lagta hai, waqt bas kaate jaa raha hun
Maut ka safar hai, ye sabko pata hai
Bas apne aap ko yahi bataye jaa raha hun,
Na ye ghar mera hai na ye jism
Bas kisi tarah jiye jaa raha hun.
No comments:
Post a Comment